Aap ki dukaan, clinic, academy ya restaurant — jo kaam agencies Rs 35,000+ aur 10–15 din mein karti hain, hum fixed price par 1–2 din mein karte hain. Pehle demo dekhein, phir faisla karein.
Teeno packages mein 50% advance aur 50% delivery par. Har package mein 2 dafa ki tabdeeli (revisions) aur FREE hosting shamil hai.
Domain (jaise aapkibusiness.com) aap ka apna hota hai — lagbhag Rs 3,000–5,000 per saal. Hum lagane mein poori madad karenge. Website aur domain, dono aap ki milkiyat.
Farq saaf hai — khud compare kar lein:
Ye demo websites sirf sample ke tor par banayi gayi hain taake aap design aur quality khud dekh saken. Aap ki website bhi isi quality ki hogi — aap ke apne business ke naam, photos aur maloomat ke sath.
Dental clinic ki demo website: services, doctor ki maloomat, timings aur appointment button.
Demo Dekhein →Restaurant ki demo website: menu with prices, timings aur reservation/order button.
Demo Dekhein →Tuition academy ki demo website: classes aur subjects, fees, timings aur admission button.
Demo Dekhein →Jo sawal har client poochta hai:
Sirf 50% advance — baaki 50% tab, jab website tayyar karke aap ko dikha dein aur aap mutma'in hon. Kaam advance milne ke baad shuru hota hai.
Domain aap ki website ka address hota hai, jaise aapkibusiness.com. Is ki qeemat lagbhag Rs 3,000–5,000 per saal hoti hai aur ye aap ke apne naam par register hota hai. Hum poori madad karenge — aap ko akelay kuch nahi karna. Hosting hamari taraf se FREE shamil hai.
Ji haan. Har package mein 2 dafa ki tabdeeli (revisions) shamil hai — text, photos ya rang badalna ho to bata dein. Us ke baad bhi chhoti tabdeeli makool rate par ho jayegi.
Bilkul. Website aur domain dono 100% aap ki milkiyat hain. Aap jab chahein, website kisi aur se bhi manage karwa sakte hain — hum aap ko bandh kar nahi rakhenge.
One-Page aur Business package 1–2 din mein, Business+ 2–3 din mein — basharte ke aap ki maloomat (services, prices, photos) mil jayein. Jitni jaldi content milega, utni jaldi website tayyar.
Easypaisa, JazzCash ya bank transfer — jo aap ke liye asaan ho. Details order confirm hone par di jayengi.
Email par apne business ka naam, sheher aur kaunsa package chahiye — bas ye likh kar bhej dein. Jawab mein hum demo aur aglay steps bhej denge. Koi advance pehle nahi — pehle baat, phir faisla.
✉️ Email Karein downloadkaro.pk@gmail.com